#varanasi fact #rohitsaah #zindgi #mout #safar #traval #tour #rohitsaahblog
Varanasi, ya Banaras, ek aisi jagah hai jahan Shanti aur sukoon ka mel hota hai, aur yaha jeevan aur maut dono ka samavesh hai. Yaha ke log apne andar hi mast rehte hain, aur Bhagwan Shiv ki bhakti me leen rahte hain. Chahe wo bachhe ho ya bude, sabhi Bhagwan Shiv ki bhakti me khoye rehte hain.
Mai Rohit Saah, yahan aane ke baad maine bhi mehsoos kiya hai ki zindagi aur maut kya hai, aur ek insaan ki zindagi ki asli keemat kya hai. Manikarnika Ghat par, jab maine logon ko antim baar dekha, tab mujhe yeh samajh aya ki zindagi kitni keemti hai.
Varanasi ke galiyon me chalne par, yeh mahsoos hota hai ki har kona Bhagwan Shiv ki adbhut energy se bhara hai. Ganga ke tat par baithkar, man ko jo shanti milti hai, wo shayad kahin aur nahi mil sakti. Yaha ka prateekshaak daan, ganga aarti, aur santon ki vaani, sab kuch ek naya drishti kon dete hain jeevan ko samajhne ka.
Manikarnika Ghat par jab maine logon ko antim yatra par dekha, tab mujhe samajh aya ki jeevan kitna anmol hai. Har saans ek naayi umeed ke sath, har din ek nayi shuruaat ke sath jiyo, kyunki maut kabhi bhi aur kahin bhi aa sakti hai. Par yahi Varanasi ka sabak hai - yahan jeevan aur maut dono ko ek samaan drishti se dekha jaata hai.
Yeh kahani sirf meri nahi hai, balki har us insaan ki hai jo Varanasi aata hai aur yahan ki pavitra mitti me apni zindagi ka asli arth samajh paata hai.
Comments